HADITH ON DUROOD SHAREEF
There are many Hadith On Durood Shareef which our Beloved Prophet Nabi-E-Akram ﷺ has said, Durud-O-Salaam Bhejne Kee Fazilat Ka Bayaan
1. “Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Yaqeenan Duaa Us Waqt Tat Zameen Aur Aasmaan Ke Darmiyan Thahree Rahti Hai Aur Us Me Se Koi Bhi Cheez Oopar Nahin Jaati Jab Tak Ki Tum Apne Nabi-E-Mukarram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Par Durood Na Padh Lo.”
[Tirmidhi As-Sunan, 02/356, Raqam-486,Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02/330, Raqam-2590,]
2.“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :Jo Shakhs Mujh Par Aik¹ Baar Durood Bhejta Hai To Allah Ta’ala Us Par Das-10 Baar Durood (Rahmat) Bhejta Hai Aur Imam Tirmidhi Ne In Alfaz Ka Izafa Kiya :Aur Allah Ta’ala Us Ke Liye Das-10 Nekiya’n Bhi Us (Durood Padhne) Ke Badle Me Likh Deta Hai.”
وقال أبو عيسى : حديث أبي هريرة. حديث حسن صحيح.
[Muslim As-Sahih, 01/302, Raqam-408, Tirmidhi As-Sunan, 02/353, 354, Raqam-484, 485,
Nasa’i As-Sunan, 03/50, Raqam-1296, &As-Sunan-ul-Kubra, 01/384, Raqam-1219,
Darimi As-Sunan, 02/408, Raqam-2772,Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/375, Raqam-8869, 10292,
Ibn Hibban As-Sahih, 03/187, Raqam-906,Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 02/253, Raqam-8702,
Tabarani, Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/126, Raqam-899,Aboo Ya’la Al-Musnad, 11/380, Raqam-6495,]
hadith on durood shareef
3. “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jo Shakhs Mujh Par Aik¹ Baar Durood Bhejta Hai To Allah Ta’ala Us Par Das-10 Rahmatein Naazil Farmata Hai, Us Ke Das-10 Gunaah Maaf Kiye Jaate Hain Aur Us Ke Das-10 Darjaat Buland Kiye Jaate Hain.”
رواه النساءى وأحمد.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
[Nasa’i As-Sunan, 04/50, Raqam-1297, & As-Sunan-ul-Kubra, 01/385, Raqam-1120/10194, &
Amal-ul-Yawm Wal-Laylah, 01/296, Raqam-362,Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad, 01/224, Raqam-643,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 02/253, Raqam-8703,Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/102, Raqam-12017,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 02/210, Raqam-1554,Hakim Al-Mustadrak, 01/735, Raqam-2018,]
4. “Hazrat Abdullah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Qayamat Ke Din Logon Me Se Mere Sab Se Zyada Qareeb Woh Shakhs Hoga Jo (Is Duniya Me) Un Me Se Sab Se Zyada Mujh Par Durood Bhejta Hai.”
رواه الترمذي وابن حبان.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.
[Tirmidhi As-Sunan, 02/354, Raqam-484, Ibn Hibban As-Sahih, 03/192, Raqam-911,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 03/249, Raqam-5791, & Shuab-ul-Iman, 02/212, Raqam-1563,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 08/467, Raqam-5011,Daylami Musnad-ul-Firdaws, 01/81, Raqam-250,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02/327, Raqam-2575,]
hadith on durood shareef
5. “Hazrat Aboo Talha RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Aik Martaba Tashreef Laaye.
Aap Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Chehra-E-Aqdas Par Khushee Zaahir Ho Rahi Thi.
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Abhi Abhi Jibra’il Alaihisslam Mere Paas Aaye Aur Unhone Kaha :
Aap Ka Rab Farmata Hai : Aye Muhammad!
Kya Aap Is Baat Par Raazi Nahin Ki Aap Ki Ummat Me Se Jo Shakhs Aik¹ Baar Aap Par Durood Bheje, Mein Us Par Das-10 Rahmate Bhejoo’n?
Aur Aap Kee Ummat Me Se Koi Aap Par Aik¹ Baar Salam Bheje To Me Us Par Das-10 Baar Salam Bhejoo’n?”
[Nasa’i As-Sunan, 03/50, Raqam-1295, Darimi As-Sunan, 02/408, Raqam-2773,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/30,Ibn Mubarak Kitab-uz-Zuhad, 01/364, Raqam-1067,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/100, Raqam-4720,Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 02/252, Raqam-8695]
If you Spiritual Guidance for any problem in life, contact us by email- sarkarhealing@gmail.com or WHATSAPP